Hazrat Sheikh Abdul Qadoos Gangohi
Rahmatullah Alayh
Aap ki wiladat ba Saadat 861 Hijri mein Rodali India mein hui. Aap ka ism e graami Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh aur aap ke waalid ka naam Sheikh Ismael hai. Aap apni taleem ziyada der tak jari nah rakh sakay kyunkay aap ko zahir y taleem aur shugal se koi dilchaspi nah thi. Aap baatini ilm haasil karna chahtay thay .
Aik din achanak Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke seenay mein nah jane kaisi aag bharkii kay aap par jazb ki kafiat taari ho gayi. Wajad ke aalam mein apne kapray chaak kar daaley aur naaray maartay bahar nikal gaye. Is waqt aap ke waalid intqaal kar chuke thay. Jab aap ki walida mohtarma ne jab aap ki yeh haalat dekhi to sakht pareshan hui aur apne bhai Qaazi Danyal ke paas gayi jo shehar ke haakim thay. Aap ki walida mohtarma ne saari sorat e haal apne bhai ko batayi to aap ke bhai Qaazi Danyal ne karindon ko bhaij kar bhanjay ko balwa lia. Aap ke bhai ne Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ko apne paas bitha kar narmi se poocha Quddoos yeh kya haalat bana rakhi hai maan ko kiyon tang karte ho aur taleem kiyon chhorr di hai yaad rakho agar tum ne yahi haal banaye rakha to hum tujh ko sakht saza den ge .
Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne yeh sun kar chala chala kar kehna shuru kya kay hum saza len ge hamein sakht saza doo. Is douran kahin se geet ki aawaz aye. Geet ka Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke kaanon mein parna tha kay wajad mein aa gaye aur haalat ghair ho gayi. Mamu ne bhanjay ka jo yeh haal dekha to dukh se behan se kaha kay pareshan nah ho usay is ke haal par chhorr doo. Yeh Qais ban chuka hai sehraa hi is ke marz ka wahid ilaaj hai usay kuch nah kaho .
Ab to Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ko jaisay khuli chhutti mil chuki thi. Sara waqt majzoboon aur qalandron ki sohbat mein rehtay magar kisi pal qarar nah tha. Seenay mein jo aag bharkii thi woh kisi tour par bujhnay ka naam nah le rahi thi. Woh be khud hokar kabhi kidhar nikal jatay to kabhi kidhar nikal jatay. Kabhi dil ki tapish bherne lagty to viranoon mein nikal jatay. Kabhi mukhtalif xbuzurgaan e deen ke maqbaron par haazri dete. Aap ziyada tar Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke maqbre par waqt guzartay. Rozana Aap ke mazaar par jharoo dete thay .
Sheikh ki dargaah ke sjad_h nasheen Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh nojawan thay aur Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke hum umar bhi thay. Aap ko un se mohabbat to thi lekin woh aqeedat nah thi jo kisi mureed ko murshid se hoti hai. Aik din Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke ke maqbre par ibadat mein masroof thay kay achanak Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke namodaar hue aur Aap ka haath thaam kar apne potay Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah AlayhKe paas le gaye aur is ke haath mein day diya. Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne Hazrat Sheikh Mohammad Arif Rahmatullah Alayh ka haath thaam kar usay bosa diya aur inkisari ke andaaz mein kaha kay ae Sheikh mujhe thaam lijiye .
Hazrat Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh ne murshid honay ke bawajood Aap se mureedon wala bartao nah kya balkay izzat o ahtram se paish atay aur hum rutba rafeeq ki terhan aap ke sath ibadat o riyazat karte. Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne bhi apni mureedi ke ibtidayi daur mein sakht mjahde kiye. Aap hamesha Hazrat Sheikh Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh ke mazaar par khud jharoo dete, pani bhar kar laatay aur jhaar poonjh karte .
Hazrat Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh ki bari behan aik saleh khatoon thi lekin qismat ki sitam zarifi se aisay shakhs se biahi gayi jo hargiz aap ke qabil nah tha. Aap jitni pak baz aur ibadat guzaar theen woh shakhs itna hi keena parwar aur bad amaal tha. Chunacha un ki zindagi jahannum ka namona bani hui thi. Hazrat Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh aur un ki walida Umm Kulsoom beti ki haalat dekhatii to un ko bara dukh hota tha. Un ki aik choti beti bhi thi jin ke baray mein woh sabiqa tajarbay ki roshni mein sakht pareshan thi .
Hazrat Sheikh Mohammad Arif Rahmatullah Alayh ki walida Umm Kulsoom ne aik raat khawab dekha kay un ke betay Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh ka mureed Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh wajad ki haalat mein Samaa mein hai aur is ka aik paon bhi toota howa hai. Abhi woh is par ghhor kar rahi theen kay achanak khawab mein Hazrat Ahmed Abdul Haq Rahmatullah Alayh namodaar hue aur kaha is bachay ko apne saaye mein le lo. Yeh masoom aur shareef Allah ka aur mera payra hai.
Jis din se aap ki walida ne yeh khawab dekha tha tab se be chain theen kay Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh se kaisay baat ki jaye. Phir rab ne aik din un ki yeh mushkil bhi hal kar di. Ghar ki aik kaneez jab Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh se kapray lainay gayi to is ke dil mein shararat sojhi boli Hazrat ab to aap jaisay jawan shadi karkay baap banay phirtay hain aap ka kya iradah hai. Kya saari Umar aisay hi guzaar doo ge. Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh kaneez ki yeh baat sun kar muskuraye aur bolay bibi tum janti ho bhala mujh jaisay shab o roz guzaarne walay darwaish ko apni beti kon day ga. Aur phir bhala mein apni azad zindagi ko kiyon kho doo. Lekin kaneez kahan chorney wali thi kehnay lagi mein to kehti hon kay aap apne paeer Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh ki choti behan se aqad kar len dono ki jori khoob achi rahay gi .
Yeh baat Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke dil ko lagi aur un ke dil mein shadi ki khwahish peda ho gayi. Aur is ka zikar unhon ne apne aik murabbi ke sath kya jo un ke sath rehtay thay. Woh bhi bohat khush hue aur kehnay lagey kay mein aaj hi Aap ki taraf se shadi ka paigham le kar jata hon. Jab woh shadi ka paigham le kar gaye to walida ne jhat patt paigham manzoor kar liya. Chunancha aap ki shadi Hazrat Sheikh Muhammad Arif Rahmatullah Alayh ki behan se kar di gayi .
Sikandar Lodhi ka zamana tha aur mashhoor buzurag Sheikh Hassam Aldeen Rahmatullah Alayh ehatasab ke sarbarah bana diye gay. Aap ke zimma deen mein daakhil khrafaat ka khtama karna tha. Aap ne Gujrat, Dakkan aur Malway ke kamyaab doray kiye aur khrafaat ka khtama kya. Is ke bad jab aap ne Panipat mein khrafaat ke khatmay ke liye puhanche to wahan Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke baray mein suna kay woh khud ko Qutub ul Qataab kehlate hain aur ghair sharai kamon mein mulawis hain. Chunancha aap ne Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ko paigham bhijwaya kay shariat Rasool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki pabandi karen aur wajad o suruur ki halaton se daur rahen. Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne khanda peshani se paigham bhijwaya kay akhkaam e sharai se radd gardani kisi tour par bhi munasib nahi. Hum Allah ke huzoor taoba karte hain aur aindah bachney ki dua mangte hain .
Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh is baad waqai chand din Samaa se daur rahay. Log samajh rahay thay kay aap Muhtasib e Ala se khaif ho chuke hain is liye Samaa ke nazdeek nahi jatay. Abhi Samaa se daur hue chand hi din guzray thay kay aik raat jab aap Tahajad ke liye utthay to aap ke kaanon mein kisi aurat ke dohay ganay ki aawaz aye. Is ke dard bharay bol sunay to isi waqt wajad mein aa gaye aur diivana waar raqs karne lagey. Jab zara hosh mein aaye to Sheikh Hassam Rahmatullah Alayh ko kehla bheja kay mein aik aatish zada lakri ki manind ho chuka hon aur aap jantay hain kay aatish zada lakri se nah to jungle ki khushk lakri bach sakti hai aur nah koi cheez. Jo koi cheez is ki girift mein aati hai is ko jala daalti hai. Aap meri yeh kafiat daur kar sakte hain to tashreef layein mein aap ka ahsaan mand hon ga .
Yeh paigham sun kar Sheikh Hassam Aldeen Rahmatullah Alayh ne chand buzurgon ko hamrah liya aur haath mein Durra le kar aap ki khanqah ki taraf rawana ho gaye. Jab aap wahan puhanche to Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh diwana waar raqs kar rahay thay. Aap ko dekhte hi dafatan Sheikh Hassam Rahmatullah Alayh ki haalat mein aik tagayur runuma howa, apni dastaar utaar pehnki aur naara buland karte hue Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ke gird parwanay ki terhan ghoomnay lagey. Jab zara hosh mein aaye to logon ne poocha kay Hazrat aap ko kya ho gaya tha. Kehnay lagey kay hum ghalti par thay' hum tareqi mein thay hamein aaj ujala naseeb huwa hai. Yeh baat sun kar Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh bolay roshni to abhi bohat daur ki baat hai lekin itminan rakho aik roz woh tumhara muqaddar banay gi .
Hazrat Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh farsi aur hindi shayar ki hasit se buland maqam rakhtay hain. Is ke ilawa nasar mein bhi aap ke kitaaben tehreer kee hain. Anwaar ul Auoon aap ki mashhoor kitaab hai. Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh ne sufia ke doo muratib ka zikar kya hai. Martaba e Urooj, Martaba Nuzool
Urooj woh martaba hai jis mein rooh apne asal watan ki taraf lout jati hai aur lazzat e wisaal se humkenar ho kar hijar o faraaq ke martaba ki taraf lout aati hai.Uerfa ke nazdeek Urooj ka darja Nuzool ke darjay se kam hai is liye kay Urooj takmeel ka safar hai jabkay Nuzool apne takmeel ke baad doosron ki takmeel ka mutaqazi hai aur yeh marhala pehlay marhalay ki nisbat azmaish talab, purkhatan aur sabar aazma hota hai. Sheikh Rahmatullah Alayh ke irshad ke mutabiq Huzoor Sarwar e Kon o Makan sale Allah Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ka kamaal tha kay woh is رفعتِ أَوْ أَدْنَى se wapas lout aaye .
Sheikh Abdul Qadoos Gangohi Rahmatullah Alayh Rehma Allah farmatay hain kay agar mujhe wahan jana naseeb hota to wapas anay ka kabhi naam nah laita. Matlab yeh hai kay aik to mujh mein itni rohani tawanai nah hoti kay mein apni jismani ikai ko barqarar rakh sakta. Dosray apni zaat mein is qader magan ho jata aur khud gharzi mujh par is qader ghalib aa jati kay mein aalam e insaaniyat ko bhool kar sirf apna hi ho kar reh jata .
Huzoor Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki Azmat yeh hai kay woh itni bulandiyon par pounchanay ke baad lout aaye. Shaoor e bandagi aur ehsas e bandagi har qadam par daman geer raha, chunancha aap Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam azmaton ki Khilat Fakhira aataa honay ke baad bhi apni zaat mein gum nahi hue balkay inhen har lamha hum gunahgaaron ki hadaayat aur islaah ka khayaal raha. Aap Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam itni Rohani quwatoon ke maalik thay kay Anwaar o tajaliat ki musalsal barish mein apni zaat ki ikai ko salamat rakhnay mein kamyaab o Kamraan rahay aur wapas zameen ki taraf bhi lout aaye kay is kurrah e arzi par basnay walay insanon ko Asnaam parasti ke tareek garoon se nikal kar toheed parasti ke halqa e Anwaar mein daakhil karna tha. Yeh wohi zameen thi jahan patharon ki barish mein bhi aap Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ne parcham e toheed uthaye rakha. Jahan qadam qadam par aap ke khoon ke pyase aap ke khilaaf sazishon mein masroof thay. Shaan e Rasalat yehi thi kay Allah ki madad par bharosa karte hue aur is ki taied o nusrat par kaamil yaqeen rakhtay hue dilon ke kufl torrey jayen aur un ke seenon ko toheed ke noor se munawar kya jaye
Aap 30 Jamadi al Akhar 945 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Aap ki aakhri aaraam gaah zila Saharan Pur India mein hai .